⚖
Ek question hai...uncle...ki Allah ne ye duniya banayi aur Kaha jata hai jaisa hum karte hai vaisa hi hame milta hai.
matlab Jaise amaaal hum karte hi vaisa hi hamere Saath future Mai HOTA hai. Jaise agar hum Apne MAA baap ke Saath Bura sulook karenge t hamare bachhe hamare Saath Bura karenge ......Jaise Maine Bura sulook Kiya Apne MAA baap k Saath to mere bachhe mere Saath waisa hi karenge aur phir unke bachhe unke Saath. ..to agar mere bachhe mere Saath Bura sulook Kar rahe hain to vo to Allah Ka kahna maan rahe hain kyuki Allah unke zariye mujhe saza dena chata hai par kal phir Allah unke bachhon ko ye hukm dega ki inke Saath Bura Karo kyonki isne Apne MAA BAAP ko sataya tha...so Allah ye silsila khatam kyun nhi Kar deta?
-Faisal
Jawab: Insan ko Janna Chahiye ki
Allah ne insan ko uski zindgi me bhalai aur burayi ke selection ki azadi di hai ki Jo bhi wo Apne liye select karega use wohi milega.
Agar Woh Apne liye bhalayi Chahta hai to use apne Dil me Ek bhala insan banna Hoga aur Bhali baat kahni hogi aur bhale kaam Karne honge. Jab Woh Apne andar aur bahar ki zindgi me bhala Hoga to Uske kaamo Ka anjaam bhi bhala Hoga.
Agar Woh iske khilaf karta hai to use apne bure kamo Ka Bura natija milega. Jisse Woh Bach nhi Sakta.
Ab agar Kisi ne Apne MAA BAAP ko Dekha ki Woh Apne parents ke sath Bura bartaw Kar rahe Hain to wh aadmi Allah ki taraf se majboor Nahi hai ki Woh zuroor Apne MAA BAAP ke sath Bura bartaw kare.
Use bhi bhalayi aur burayi me selection ki azadi hai. Jab Woh Apne liye bhalayi select karega aur Apne MAA BAAP ke sath achcha bartaw karega to Woh burayi ke us silsile ko wahin kaat dega. Woh aage Apni aulaad se achcha bartaw payega. Uske MAA BAAP ko unke bure kamo Ka badla Allah Kisi dusri Aulad se dilwa dega ya koi aur shakl Bana dega.
Allah Chahta hai ki Zameen se burayi Ka ye silsila khatm ho. Isiliye usne Nabi bheje aur logo ko bhalayi aur burayi ki tameez sikhayi aur hamesha Bhalayi ko select Karne aur sabke sath bhalayi Karne Ka hukm Diya.
Islam ki Tabligh Ka maqsad logo ko burayi se bachne aur bhale kaam Karne ki
inspiration aur training dena hi hai. Isi kaam se Duniya peaceful aur joyful hogi.
Allah Chahta to Apne hukm se sab logo ko farishto jaisa Bana deta lekin usne insan ko farishto se alag banaya hai Taki Allah ke insaf Karne ki aur uski maafi aur maghfirat ki sifaten bhi zahir hon. Yh tab Hoga jab log Bura Karen. Unme se Jo Tauba aur islah karega, Allah use maafi aur maghfirat dega aur Jo aisa na karega Woh waisa hi phal payega, Jaisa Amal usne Kiya tha.
Allah ne Momin ko Apna naam 'Momin' Diya hai Taki Allah Hamare zariye sabko AMN (PEACE) de. Koi Aapke sath Bura kare to bhi aap Uske sath jawab me Bura Kar sakte Hain aur aap chahen to use maaf karke Uske sath achcha Amal Kar sakte Hain.
Allah ne yh Duniya Apni khubiyon ko zahir Karne ke liye banayi hai.
Hame Chahiye ki ham Apne Amal se Allah ki khubiyon ko zahir Karen.
Jab ham Kisi ko maaf karte Hain aur Kisi ki buri baton ko dhakte Hain to hamse Allah ki khoobi zahir Hoti hai kyonki maaf Karna aur logon ki burayi dhakna (maghfirat) Haqiqat me Allah ki khoobiyan Hain. Jo Aadmi Allah ki zyada se zyada khubiyan is Duniya me zahir karega, Woh Allah ke utne zyada qareeb ho Jayega.
Jab zyada se zyada log Allah ki zyada se zyada khubiyan zahir karenge to burayi Duniya me dab jayegi.
Yhi insan Ka kaam hai.
Allah Ka insan ke liye yhi plan hai.
No comments:
Post a Comment