Translate

Saturday, September 22, 2018

Ved ke Baare me Hazrat Maulana Shams Navaid Usmani rahmatullahi alaih Ke Sahi Aqeede Ka mukhtasar bayan

*Dawah Psychology*
๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒฟ๐Ÿ•‹๐ŸŒฟ๐ŸŒน๐ŸŒน
เค•เคฒ 20.09.2018 เค•ो เคนเคฎเคธे เคญाเคˆ เค–़ुเคฐ्เคถीเคฆ เค‡เคฎाเคฎ เคจे เคเค• เคธเคตाเคฒ เคชूเค›ा, เคœो เคฆाเคตเคคे เคฆीเคจ เคธे เคฎुเคคाเคฒ्เคฒिเค•़ เคนै। เคตเคน เคธเคตाเคฒ เคนเคฎ เค…เคชเคจे เคœเคตाเคฌ เค•े เคธाเคฅ เคฏเคน เค†เคชเค•े เคธाเคฅ เคถेเคฏเคฐ เค•เคฐ เคฐเคนे เคนैं। เค…เค—เคฐ เค†เคช เค‰เคธ เคชเคฐ เค•ुเค› เคฒिเค–เคจा เคšाเคนें เคคो เคนเคฎाเคฐी เคซ़ेเคธเคฌुเค• เคชोเคธ्เคŸ เคชเคฐ เคฒिเค–เคจे เค•ी เคฎेเคนเคฐเคฌाเคจी เค•เคฐें เคคाเค•ि เคเค• เคฎुเคฆ्เคฆे เคชเคฐ เคธเคฌเค•ी เคฐाเคฏ เคเค• เคœเค—เคน เคœเคฎा เคนो เคœाเค เค”เคฐ เค‰เคธเคธे เคœ़्เคฏाเคฆा เคฆाเคˆเคฏों เค•ो เคซ़ाเคฏเคฆा เคฎिเคฒे। เคชोเคธ्เคŸ เค•ा เคฒिंเค• เคจीเคšे เคนै।
๐ŸŒฟ⚖๐ŸŒฟ
sawal:
Assalam u alaikum Anwar bhai. Ek bhai ne Mujhse poocha hai ki Anwar bhai VED ko khudai kalaam nahi maante - ispe  maine apne vichar rakhun.
Main apne vichar rakhne se pehle zaruri samajhta hun ki aapka muaqif kya hai ispe. behtar hoga agar audio me respond karen.
๐ŸŒน๐Ÿ•‹๐ŸŒน
Jawab:
W alykum Assalam
Bhai Khursheed Imam!
๐ŸŒฟ๐Ÿ’š๐ŸŒฟ
Aapke sawal ke jawab me is WhatsApp message me mukhtasar taur par yh arz hai ki
Aap jaante Hain ki
Vedon ko kya manna hai ?
Yh Maine Apne Ustad Maulana Shams Navaid Usmani rahmatullahi alaih se seekha hai.
๐ŸŒฟ๐Ÿ’š๐ŸŒฟ
Hazrat Maulana Usmani rh. ne Ved ki bahut zyada gahri study ki thi.
๐ŸŒฟ๐Ÿ’š๐ŸŒฟ
*Agar ab bhi na jaage to...'* men unki kuchh buniyadi baaten aa gayi hain lekin jitni baaten Woh Apni zubaan se Apni Majlis me Apne shagirdo ko batate the,
Woh bahut zyada baaten thin.
๐Ÿ’š
Haqiqat yh hai ki
Hazrat Maulana rh. ki ek ek Majlis ko bhi lafz ba lafz record Kiya jata to har Majlis ek mukammal book ban jaati.
๐Ÿ“š๐Ÿ“š๐Ÿ“š
Is tarah books Ka dher lag jata.
Jo uloom Woh bataya karte the,
Woh bas unki hi khasiyat thi.
Woh uloom aur Woh marifat Maine phir Kisi bade se bade aalim ki zubaan se aaj tak bhi na sune.
๐Ÿ’š๐ŸŒฟ๐Ÿ’š
Woh sab uloom unke saamne record Nahi ho paaye aur zyadatar hissa ab unke shagirdon ke mind me hi save hai.
Jise Hazrat Maulana rh. ki Tarah bayan Karne ki Qudrat bhi Kisi shagird me Nahi hai.
๐ŸŒฟ๐Ÿ’š๐ŸŒฟ
Maulana ek munfarid shakhsiyat the.
Unke ek ek lafz me bahut gahraaee thi.
Ek lafz ke farq ki taalim dekar Maulana Momin ko apne *aqeede* ki hifazat Karna sikhaate the.
Alhumdulillah!
๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน
Iski ek umda Misaal Ved ke baare me unka Qaul hai, Jo Aapke sawal Ka umda jawab bhi hai.
Alhumdulillah!!
๐ŸŒน๐Ÿ•‹๐ŸŒน
Maulana Baar Baar Kaha karte the aur 'Agar Ab bhi na jaage to...' book ke publish hone ke baad to Maulana bahut zor aur taakeed ke sath kahte the ki
*Ved kalam e ilahi nhi Hai.*
*Balki Vedon me kalam e ilahi hai.*
๐ŸŒน๐ŸŒฟ๐ŸŒน

Waqt guzarne ke sath Jaise Jaise main Sanatani aur Arya Samaji; Vedic Literature ki zyada se zyada study karta Gaya.
Waise waise unke Qaul ki Sadaqat aur Ehmiyat mujh par aur zyada wazeh hoti gayi.
๐Ÿ’š
Ho Sakta hai ki aam logo ko yh Baat mamuli lage
Lekin is Qaul me bahut gahraayi hai aur gumrahi se Momino aur Daeeyon Ka bachaw bhi hai.
๐ŸŒน๐ŸŒฟ๐ŸŒน
Vedon ke baare me Mera Aqeeda bhi wohi hai Jo mere Ustad Hazrat Maulana Shams Navaid Usmani rh. Ka tha.
๐ŸŒฟ๐Ÿ‘‘๐ŸŒฟ
Mere tamam articles ko isi aqeede se jodkar dekhne ki meharbani Karen.
๐Ÿ‡๐ŸŒน๐Ÿ‡
Aapka Shukriya!

No comments:

Post a Comment